free download Mausam Ki Tarah ALKA From Jaanwar 1999


Song lyrics Title : Mausam Ki Tarah
Song lyrics movie/Album Name: JAANWAR
Singer(s) : ALKA YAGNIK AND MANHAR UDHAS

 Lyrics
--FEMALE--
Duniya ki tarah, rasmon ki tarah
Vaadon ki tarah, kasmon ki tarah
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

---MALE--
Duniya badalti hai, mausam badalte hai
Lekin mere dil ko badal nahin paaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

Aasmaanon ke aage tumne vaada kiya hai
Dil ke badle mein maine pyaar tumko diya hai

---MALE--
Dharti ki, ambar ki kasam
Mujhko hai tere sar ki kasam
Nazrein badalti hain, sapne badalte hain
Lekin meri dhadkan ko tum dhadkaaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

Meri pehli tamanna, aakhri pyaar ho tum
Rooh mein bas gaye ho, mere dildaar ho tum

---MALE--
Aise hi tumhe chaahoonga main
Tumhe dulhan bhi banaaoonga main
Sehre badalte hain, khushboo badalti hai
Pal pal meri saanson ko tum mahekaaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

Tumne dhoka diya to kuch bhi kar jaaoongi main
Tum judaa jo hue to dekho mar jaaoongi main

---MALE--
Meri manzil teri raahon mein hai
Meri jannat teri baahon mein hai
Raahi badalte hain, raste badalte hain
Main daudke aaoonga jo mujhko bhoolaaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2
Badal to na jaaoge - 3


Posted By:- {vikky}


lowerbanner

Free Mausam Ki Tarah ALKA songs download

Recent Tag : Free Mausam Ki Tarah ALKA songs download, Mausam Ki Tarah ALKA mp3 song free download, online play Mausam Ki Tarah ALKA mp3 song, Mausam Ki Tarah ALKA lyrics, Mausam Ki Tarah ALKA from Jaanwar 1999