Song Lyrics Title : Main hoon, tum ho, raat hain Song Lyrics Movie : Stolen Moments 1998 Singer : Pankaj Udhas
mp3 songs
Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi - 3 Kaano me aawaaz ka ras tum ghol rahi ho Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho Main hoon, tum ho, raat hai, aur khaamoshi
Shaam teri aawaaz me khoyi khoyi si, mausam pal pal tere sapane bunata hain Behate paani ke mithe halkaaro me, dil mera aawaaz tumhari sunata hai Kaliya khilti hain ya tum lab khol rahi ho Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi
Yu tere honton se labj nikalate hain, kali raat me jaise chaand nikalata hai Saanj adhura hai teri aawaaz bina, nagama tera haath pakadkar chalata hai Tum anmol ho aur sada anmol rahi ho Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi
Tu khushbu si bikhari hai har taraf mere, main deewaana tere suron pe marta hoon Isase badhakar aur mohabat kya hogi, main teri aawaaz ko sajata karata hoon Tum mujhame chhupkar kuch mujhase bol rahi ho Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi - 2 Kaano me aawaaz ka ras tum ghol rahi ho Koyal bol rahi hai ya tum bol rahi ho Main hoon, tum ho, raat hain, aur khaamoshi...
Posted by : {Anamika Tyagi}
| |